Blogger Blog ke Liye About US Page Kaise Banaye Or About US page Mein Kya Likhein

Hello Dosto Aaj Hum janenge ki professional tarike se about us page mein kaise likhe or kaise banaye
Blogger Blog ke Liye About US Page Kaise Banaye Or About US page Mein Kya Likhein


Blogger Blog ke Liye About US Page Kaise Banaye Or About US page Mein Kya Likhein




Blogger Blog ke Liye About US Page Kaise Banaye Or About US page Mein Kya Likhein ? Agar hum ko Kisi Bhi Blog Ke Owner Ko Contact Karna Hota Hai Toh hum Contact US Page Par Click karke Contact Karte hain Or Ushi Tarah Se agar hum ko blog ki privacy ke baare mein janna hota hai
toh hum privacy policy page par jake check karte hain Contact Us Page Or Privacy policy page ye pages har blog ki ek identity hoti hai in pages ki madad se visitor blog ki service or privacy or owner se contact kar pata hai


Ye bhi padhe >> Contact us page kaise banaye 

Blogger Blog ke Liye About US Page Kaise Banaye Or About US page Mein Kya Likhein ?


Bilkul Aaise Hi About US page Blog Or humare baare mein batata hai or ish page mein hum blog par aane wale visitor ki welcome kehte hai or ish page mein hum apne baare mein, blog ke baare mein, experience ke baare mein, or apni story visitor ke sath share karte hain

Aap Bhi Agar Apne Blog ke liye About us page banana chahate hain  Toh Humara ye post aapke liye boht helpfull rahega Aaj Aap Janenge About us page kaise banaya jata hai or About us page mein kya kya likha jata hai

Boht Se Blog mein Aapne dekha hoga ki about us page mein owner ke baare mein likha hota hai or agar aapne bhi aaisa hi kiya hai toh ye complete about us nahi bana hai

About Us page ye batata hai ki blog banane ka makshad kya hai or kisne banaya or kab banaya kyu banaya

Toh Bhaiyaa Agar Aapne Blog ke liye abhi tak about us page nahi banaya hai toh humara ye post pura jaroor padhe Taaki Aapko saare ideas mil jaye or aap blog ke liye ek acha sa about us page bana sakein or usme aaisa likh sakein jisse visitor inspire  ho jaye or aapke blog ke fan ho jayein toh chaliye jante hain ki about us page mein kya likha jata hai

About US page Mein Kya Likhein ?


Sabse phele aapko janna hoga About us page ka matlab kya hai about us page ka matlab hai  humare baare mein, matlab blog ke owner ke baare mein Toh sabse phele aapko apna introduce karna hoga  chaliye step by step jante hain ki about us page kaise likha jata hai

1. Apne Baare Mein


About us page mein jab koi visitor aata hai read karne ke liye toh woh ye janne ke liye aata ki blog ka owner koun hai or kya karta hai isliye aapko sabse phele apne about us page mein apne baare mein simple introduction likhna hoga taaki visitor ko pata chal jaye blog ka owner koun hai or uski basic details kya hain

Yahan Par Aapko Apna Name,Country,passion,education,story ke baare mein likhna hoga taki visitor ko aapke baare mein jayeda se jayeda information mil sake

Aap agar kisi popular blog ka about us page read karenge toh aap inspire ho jayenge or about us ek aaisa page hai jisse banda inspire jo jata hai blogging karne ke liye. isliye about us page mein aapko sabse phele apne baare mein likhna hai


2. Blog Kyu or kab Bana hai


Introduction ke baad aapko ye batana hota hai ki aapne blog kyu or kab banaya boht se bloggers aaise hai jo dusre bloggers se inspire hue hain or apna blog banaya hai agar aap bhi kisi blogger se inspire hoke blog banaye ho toh aap about us page meim isko mention jaroor karein

3. Aap Apne Blog mein kis language ka use karte hain


Aapko Visitor Ko Batana Hoga ki aap blog mein kis language ka use karte hain or kyu karte hain jaisa ki aap dekh sakte ho ki ish blog mein hinglish language ka use hota hai kyuki mujhe ishe likhne mein comfortable feel hota hai aaise hi aapko apne about us page mein ye batana hai ki kis language ka aap use karte ho or kyu karte ho

4. Aapne blog pe kis topic ke article likhte ho


Ye toh bhaiyaa sabka pata hai ki kis blog par kis topic par article dalte hain aapko isme apne un topics ko likhna hai jin par aap articles dalte hain jaise mere blog pe internet se related jo bhi topic hain maine unki main menu list banayi hui hai or  main unhi par article dalunga or agar kabhi koi topic badhana hua toh main menu mein uski category bana dunga toh aap bhi aaisa jaroor karein


5. Apna experience share karein


Aap Kitni Saal Se Blogging Kar rahe hain ya kaise blogging me career mein aaye aap ye visitor ko bataye visitor  dusre logo ke experience ko read karna boht pasand karte hain agar aap ye apne about us page mein dalte hain toh ye aapke about us page ko behtreen bana degi

6. Apni kuch personal information share karein


Aap apne visitor ko apni job,study,lifestyle ke baare mein bataye Blogging karna boht aasan hota hai par jo bande start karna chahate hain woh ye sochte hain ki part time blogging karne ke liye time kaha se nikale agar aap about us page mein apni kuch personal information daal te hain toh visitor aapse inspire or impress ho jayega

7. Apna acha sa photo lagayein


Aap Apni Khud ki photo jaroor lagayein kyuki agar koi banda aapke baare mein janna chahata hai toh wo ye jaroor dekhta hai ki blog ka owner hai kaisa dikhne mein kaisa hai isliye aapko about us page mein apni achi si photo jaroor lagayein


8. Subscribe karne ko bole visitor ko


Aap agar apne blog par ache se post daal te ho or saare topics ko ache se explain karte ho toh visitor aapke about us page mein aata hai or wo padhna start karta hai ab agar upar ke ye 7 point ko aap apne about us page mein ache se likhte hain toh visitor inspire ho jata hai or woh aapke baare mein or blog ke baare mein jayeda se jayeda janna chahata hai toh aaise mein agar aap blog ko subscribe karne ko keh denge toh chance badh jayenge subscribe karne ke isliye apne about us page mein subscribe karne ko jaroor bole


9. Social Media Accounts ke link share karein


Bloggers apne social networks pe jaroor active rehta hai jaise >> Facebook,twitter,instagram,linkedin,
Aaise mein Aap apne social media accounts ke link apne about us pqge mein jaroor share karein taaki visitor aapko follow kar sake or aapke baare mein ache se jaan sake


10. About us page simple language mein likhein


Aap apne about us page ko simple language mein likhein simple language har banda samjh leta hai agar aap simple language mein apne about us page ko likhte ho toh visitor boring feel nahi karega kyuki kayi log aaise hain jo technical language ko samjh nahi paate hain isliye aap apne about us page ko simple language mein likhein

My Opinion


maine jo aapko 10 points bataye hain jaroori nahi hai ki aap sabko follow karein par aaisa likhe visitor end tak padh te rahein aapko apne about us page ko ek flow mein likhna hai ye soch ke likhe aap apne baare mein live visitor ko bata rahe ho ish flow mein bataye ki visitor inspire or impress ho jaye

Toh Bhaiyaa Aapne Ye toh seekh liya ki About us page mein kya likhein toh chaliye ab jante hain Blogger Blog ke Liye About US Page Kaise Banaye


Blog website ke Liye About US Page Kaise Banaye


Abous US Page Banane Ke Fayde


Apke Blog Ya Website Par Visitor Aata Hai Or Apke Post Usko Ache Lagte Hain Or Wo Apke Or Apki Site Ke Baare Mein Jaan na Chata Hai Toh Bo About US Page Mein Jakar Jaan Leta Hai Or About US Page Se  Apka Adsense Account Bhi Approved Ho Jata Hai


Step 1. Sabse Phele Aap Blogger.com par jaa kar sign in karein or Dashboard par Jaayein


Step 2. Ab Aapko Page Option Dikh Raha Hoga Ush Pe Click Karein


Step 3. Ab Aap New Page Pe Click Karein

Step 4. Ab Aapko Tittle Mein ( About US ) Or Body Mein Apni Site Or Apne Baare Mein Likhna Hai Last Mein Publish Kar Dein


About US Page Ko footer Menu Me Jaroor Add Karein Tab Hi Koi Ishe Dekh Payega nahi toh ye show nahi hoga


Ummed Hai Dosto aapko professional tarike se about us page likhna or banana aa gya hoga agar aapko post laga ho toh subscribe jaroor karein or koi question ho toh comment karo


Post a Comment

0 Comments