Dusri website se content copy karke apni website par dalna aaj kal kaafi new bloggers aate hain or woh sochte hain article likh ke adsende approval leke paise kamayenge 

Dusre Website se copy karne ke nukshan

Par Unse itna nahi ho pata woh sirf 2-3 article hi likh paate hain phir sochte hain kaha tak likhu aaisa karta hu dusri site se copy karke thoda change karke apni site par daal dunga 

Aaisa kaafi new bloggers karte hain jo sirf paise ki bajah se blogging shuru karte hain or kuch time baad jab adsense approval nahi milta tab kehte hain kuch nahi hota blogging se faltu mein time waste kar diya maine 

Copyright content ka koi future nahi hai agar aap copy karke apni site par article dalte ho toh aapko blogging mein success nahi mil payegi chaliye jante hain Dusre website se copy karne ke nuksaan

1. Copyright content ka koi future nahi hai 

sabse pheli baat copyright content ka koi future nahi hai chahe aap pura article copy karein ya usme kuch changes karke upload karein copy karne se aapka career blogging mein nahi ban payega agar aap aaise hi copy karte hain toh jaldi hi google panda aapki website ko penelize kar dega or agar aapka ush site pe adsense chalta hoga toh woh bhi block ho jayega

2. DMCA Website ko delete bhi kar sakta hai

Aap kisi website se content copy karte ho toh ush website ka owner apki site ki report DMCA (Digital Millennium Copyright Act) Mein kar sakta hai agar Apki site ki report koi DMCA Mein karta hai toh dmca boht jaldi hi apki site ke against action lega

3. Copyright Content ka use karna Illigal hai 

Illigal ke baare mein toh jante hi hoge illigal matlab rule ke khilaaf agar aap aaisa karte hain toh search engine aapko negative mark de dega or apko site search karne par top par nahi aayegi 

4. Visitor aap par trust nahi karenge 

agar aapke visitor aapki website ko pasand karte hain or kabhi na kabhi unko ye pata chala ki ye website dusri website se copy karti hai toh woh aapki site par kabhi nahi aayega or aapke upar se visitor ka bharosa bhi uth jayega or gaali alag milengi 

5. Copyright Image ka use na karein

Agar Aap apna khud ka article likhte hain or image ko direct google se download karke dal dete hain tab bhi aapka content copy ho jayega isliye aaisa na karein aap royalty free images download karke unko edit karke laga sakte hain 

6. Website rank nahi hogi

agar aap kisi popular article ko copy karte ho or apni site par dalte ho toh apki site par traffic nahi aayega kyuki phele hi ush article ko padh liya hoga sab ne or copy karne se website kabhi bhi rank nahi hogi or na hi adsense approval milega