Gmail Account kaise banaye in hindi

Hello dosto aaj hum janenge Gmail Account kaise banaye in hindi aaj ke time mein sabke pass android phone hai or ish time bache tak gmail account bana lete hain

Gmail Account kaise banaye in hindi


ye boht normal hai banana main ispe article likhta toh nahi lekin kal ek bande ne kaha yrrr gmail account kaise banega maine kaha chalo ispe bhi article likh dete hain jis jisko nahi pata hai woh sikh hi jayega

Gmail kya hai


Gmail ek Free web based email service hai jisse aap internet par kisi ko bhi email bejh sakte hain jaise phele ke jamane mein chiddhi hoti thi or dakiya leke aata tha toh ye chiddhi thodi digital ho gayi hai isko aap 1 minute mein kisi ko bhi bejh sakte ho isme aapko koi paise dena nahi hota hai ye bilkul free hai

Gmail ko google ne hi banaya hai gmail ka pura naam Google mail hai google ne isko 2004 mein banaya tha

Gmail Account banane ke fayede


1. Aap kisi ko bhi email kar sakte ho office,company,family,freinds,business sab jagah iska use hota hai aap kabhi bhi kisi ko bhi mail kar sakte hain or usme chahe aap photo bheje ya document saara kaam free mein hoga

2. Google Account mein aapko 15GB space milta hai Matlab online Memory card ya pendrive samjho ushe usme aap 15GB space tak kuch bhi store kar sakte ho free mein 15GB se agar aapko jayeda chaiye ho toh aap ushe buy kar sakte hain ya dusri id bana lein

3. Gmail ID se aap Youtube,playstore,google drive,google photos, blogger inka use kar sakte ho

4. Gmail account se aap Google form, slides sheets, docs bana sakte ho

Gmail Account Banane ke liye aapko kya kya chaiye hoga


1. Internet
2. smartphone  ( pc,leptop )
3. Mobile Number

Gmail Account kaise banaye


Step 1. Sabse Phele Aap Create a Account Ish link par click karein

Step 2. Ab aapke samne ek form open hoga usme aap apni details fill karein or next par click karein

1. First Name
2. Last Name 
3. Username 
4. Password 
5. Confirm password


Gmail Account kaise banaye in hindi


Step 3. Ab Aapke ek page open hoga usme aapse aapka mobile number manga jayega aap mobile number dalein or next par click karein

Step 4. Ab aapke number par ek otp aayega aap otp dalein or next karein

Step 5. Ab aap saari term & condition ko agree kar lein

ab aapki gmail id ban chuki hai ab aap gmail app mein aake apne gmail account ko login kar lein username or password dalke


Post a Comment

0 Comments