Hello dosto aaj hum janenge Google map par or google my business par apni dukan ya ghar kaise dale aaj ke time mein har koi google map ka use kar raha hai agar kahi jana ho toh location dekh ke chale jate hain kisi ki dukan ho ya ghar google map aaram se pahucha deta hai


Agar aapne dukan kholi hai ya apna ghar map par dalna chahate hain toh aaj ke ish post mein aap sikh jayenge or ish post mein ye bhi batayenge ki ( google my business ) par dukan ya ghar kaise dale

Dosto google my business par address dalne ke baad aapko 12 din ka wait karna padta hai 12 din mein aapke address par ek daakiya aata hai google ka woh pin leke jiske duara aap verify kiye jate ho agar aap baar baar apply kar dete ho toh aapka pin late ho jata hai

Aap jab bhi dukan ya ghar ( google my business ) par daalein toh sab details fill karne ke baad aap jab apply karoge toh 12 din tak aapko bilkul bhool jana hai agar aap ye sochege ki yrr abhi tak nahi hua kahi galat toh nahi kar diya or aap phirse apply kar doge tab phir se aapko 12 din ka wait karna padega isliye ye jaroor dhyaan rakhein chaliye jante hain ki google map par or google my business par dukan ya ghar kaise dale

Google map par Apni dukan ya ghar kaise dale 


Step 1. Sabse phele aap ( Google Map ) open karein

Step 2. Ab aapko 3 line par click karke ( Add a missing place ) par click karna hai agar aapka map update hai toh contribute par click karein or add place par click karein


Google map par Apni dukan ya ghar kaise dale Step by step


Step 3. Yaha par aapko apni puri details fill karna hai Or send kar dena hai ab aapko review hone ka wait karna kuch time mein woh review ho jayega or map par show hone lagega


Google map par Apni dukan ya ghar kaise dale Step by step


Ab aapka address successfully add ho jayega



Google my business par Apni dukan ya ghar kaise dale


Step 1. Sabse phele aap googly my business app install kar le ya phir direct website par visit kar lein

Step 2. Apni gmail se login ho jaye

Step 3. Ab aap business name, category, address, phone number, website , saari details fill karke send karde

Ab aapke samne likh ke aayega pending 12 day din mein aapka pin aa jayega ab 12 din baad jab aapka pin aa jaye toh isko google my business par aake verify kar lena

Hnji kaise lagi ye post kuch bhi problem ho toh comment karke puch sakte ho main answer jaroor dunga