Blogger me main menu or category kaise banaye

Hello dosto aaj hum janenge blogger me main menu or category kaise banaye dosto site mein agar main menu nahi ho toh site achi nahi lagti or category ko bhi alag alag naho rakh sakte isliye sabse main hota hai site ko look dene ke liye bhi or category ko alag rakhne me bhi ye kaam aata hai main menu site ki jaan hoti woh nahi hoga toh site achi nahi lagegi


Blogger me main menu or category kaise banaye


Dosto aap 2 tariko se main menu bana sakte ho woh aapke upar depend karta hai agar aapko coding aati hai toh template mein jaakar <ul> <li> HTML tag se aap main menu bana sakte hain agar aapko coding nahi aati hai toh koi baat nahi aaj ke ish post mein maine ye hi bataya hai ki blogger me main menu or category kaise banaye

Blogger me main menu kaise banaye


Step 1. Sabse phele aap blogger me login karein

Step 2. Ab login hone ke baad aapko layout par click karna hai


Step 3. Ab aap Niche Main Menu option ke samne edit par click karein



Step 4. Ab aapke samne phele se kuch menus bane hue honge un sab menu ko delete kar dein



Step 5. Ab aap ( New site Name ) ke samne apne menu ka naam type karein jo menu aapko banana hai uska naam likhein

Step 6. Ab aap ( New Site Url ) mein apni category ka link daal de agar abhi category nahi banayi hai toh aap # type karde or Add link par click kar dein



Step 7. Ab aapko jitne bhi menu banana hai same aaise hi bana le


Toh dosto aapne dekha ki kitni aasani se main menu ban gaye ab aap aaise hi main menu bana sakte hain agar aapki template mein main menu ka option nahi hai toh template me html code se aap bana le


Blogger me category kaise banaye


Step 1. Sabse phele aap menu bana le

Step 2. Ab aap jab bhi post karein tab right side mein level ka option aayega wah par aap category ka naam likh de matlab wohi naam likh dein jo main menu mein likha hai or article ke hisaab se alag alag naam rakhna hai jo apko category banana hai



Main Menu ko category se kaise jode 


Step 1. Sabse phele aap main menu or category bana lein

Step 2. Ab aap post ko open karein site pe jaake



Step 3. Ab aap category ko open karein or category ki link copy kar lein





Step 4. Ab layout mein jayein or main menu ke samne edit par click karein or jo category aapne copy kari thi ush menu ko edit karein or link paste kar dein or save kar dein aaise hi saare menu ko bana ke unme category ko add karna hai



dosto ummed hai aapko ye post pasand aayi hogi or agar aapko koi bhi problem ho toh aap comment karke puch sakte ho

Post a Comment

0 Comments