Android Phone se blogging karne ke best apps 2020

Android phone se blogging karne ke best apps agar aap android phone se blogging karte ho toh aapkk kaafi problem aati hogi kyuki android phone ki screen chotti hoti hai

isliye baar baar zoom in zoom out karne mein problem hoti hai kaafi baar aaisa hota hai click kisi or option pe karna hota hai or ho kahi or jata hai

Main Bhi Android phone se hi karta hoon blogging par kuch apps hain jinka use karke thoda easy ho jata hai

Android Phone se blogging karne ke best apps 2020

Android Phone se blogging karne ke best apps


Aap android phone se blogging karte ho toh ye apps jaroor use karein inse boht easy ho jayega kaam karna or acha bhi lagega par main ye nahi kahunga ki kuch problem nahi hogi hoti hai par aapko leptop ki itni jaroorat nahi rahegi toh chaliye dekh lete hain blogging karne ke best apps

  • 1. Anwritter
  • 2. pixellab
  • 3. picsart
  • 4. puffin browser
  • 5. kiwi browser
  • 6. notepad ( apke phone mein default hoga ye )
  • 7. Zarchiver


1. Anwritter


Anwritter coding ke liye sahi hai isme aap coding kar sakte hain agar aapko template mein kuch changes karna ho toh woh chrome se nahi ho pata hai chrome par html edit nahi pata hang karne lagta hai or phir lagta hai leptop ho iske liye

toh aaise mein aap blogger ke dashboard mein jayein or  theme par click karein or template ko download kar lein

phir anwritter mein template open karein or jo changes karna ho woh kar lein or save as par click karke .xml extension se save kar lein

2. Pixellab


Pixellab se aap thumbnail bana sakte ho logo & banner bana sakte ho or isme size phele se bhi hota hai or custom option bhi diya gya hai font style bhi sahi hai ye bhi aapke kaam aa sakta hai

3. Picsart


Picsart isme pixellab se jayeda features hain picsart mein bhi aap thumbnail logo banner photo edit kuch bhi kar sakte ho isme stickers ka option bhi hai par iske thode se hi option khule hue hain

agar aapko saare features ka use karna hai toh aapko iska paid version buy karna hoga

4. Puffin browser


ye browser kaafi kaam aata hai chrome mein agar blog ki template copy paste karke lagani ho toh nahi lagti usme coding copy hi nahi hoti hai

puffin browser mein aapko game remote mouse pad bhi milya hai or shortcut key bhi milti hain

puffin browser se agar humko template ki puri coding ko copy & paste karna hota hai toh shortcut key se copy & paste karke save kar dete hain isse aasani se ho jata hai

warna iske liye bhi hume leptop ki jaroorat padti

5. Kiwi Browser


Agar aapko kisi extension ka use karna hota hai toh leptop ki jaroorat padhti hai chrome mein extension use ho nahi pata hai toh agar aapko kisi bhi extension ka use karna ho toh aap kiwi browser install karein or open karke extension install kar lein

6. Notepad


ab baat aati hai article likhe kaha waise toh kaafi notepad aate hain lekin aap dusre notpad ko na nikale kyuki notepad phone mein default hi aata hai samsung mein keep note naam se aata bus alag alag phone mein naam change hota hai

7. Zarchiver


agar aap koi template ya koi zip file download karte hain toh uskk extact karne ke liye zarchiver ka use le sakte hain agar aapke phone mein zip file extract nahi hoti toh

warna naye jo phone aa rahe hain un mein bina app ke bhi zip file extract ho jati hai

ummed hai aapko in apps se kaafi madad milegi kyuki main bhi in sabhi apps ka use krta hu

koi question ho toh comment karein main jaroor answer dooonga

Post a Comment

0 Comments