2020 me Youtube Channel Ko Hack hone se kaise bachaye full guide in hindi

2020 me Youtube Channel Ko Hack hone se kaise bachaye full guide in hindi




 2020 me Youtube Channel Ko Hack hone se kaise bachaye Hello Dosto Aaj Main Aapko Batane Ja raha hoon Youtube channel ko hack hone se kaise bachaye


2020 me youtube channel boht hi jaye da hack ho rahe hain or ish time mein bade se bade channel hack ho rahe hain ab tak hackers jo tarika use kar rahe the wo toh sab ko pata tha

ishliye ush time jis ko knowladge nahi thi phissing ki wo iska shikaar ho ja rahe the lekin ish tarike se toh koi nahi phechan pa raha hai ki kaise bache hack hone se toh dosto main ish post mein aapko full tarika bataunga 2020 me Youtube Channel Ko Hack hone se kaise bachaye 


2020 me Youtube Channel Kaise Hack Ho Rahe Hain


2020 me jo tarike se hackers youtube channel hack kar rahe hain is tarike se phele nahi kiye the phele hackers phissing ke duara karte the

lekin ab virus ke duara kar rahe hain ye virus aapke browser ko hijack kar leta hai chaliye main main topic dekhte hain hackers jinke duara account hack karte hain

1. Phissing >>

Hacker Phissing ke duara bhi youtube channel hack kar rahe hain ye apki gmail pe ek phissing link bhejte hain jisme likha hota hai apka channel monetize ho jaye ga ish link ko open karo or monetize karo new creator jinko pata nahi hai ki monetize kaise hota hai toh woh ispe click kar dete hain

ye hi nahi or bhi alag tarika use karte hain silvar play button pane ke liye ish link par click karke form bharein ye ek spam links hoti hain inme aap kabhi bharosa na karein channel monetize karane ke liye youtube link nahi bhejta hai youtube par jakar aapko khud mannually monetize karna hota hai shortcut koi nahi hai or silvar play button ke bhi ye fake pages bana ke send kar te hain

2. Brute Fource Attack >>

Agar Aap Chota password rakh te hain or aasan sa password rakh te hain to hacker usse guess kar leta hai woh ek wordlist banata hai jisme uske vicitem ki saari details daal ta hai ye soch soch ke ki vicitem kya kya password rakh sakta hai woh ek wordlist bana ke or aapki gmail daal ke uspe attack karta hai agar password sahi match kar jata hai toh hacker ushe open kar ke saari details change kar deta hai or account ko badal deta hai apna no. bhi add kar deta hai

3. Sponshership ka drama  >>

2020 mein hacker ab ish tarike ko use kar rahe hain hacker phele youtube channel dhoond te hain or unka about section or description dekh te hain agar aapka uspe gmail address mila toh hacker ek fake sponshership ka message bhej te hain jisme likha hota hai ye humara app ya game hai isko aap promote kar do hum aapko 1200$ de denge Ab Bhaiya paisa kise nahi chaiye banda kehta sahi hai bhaiya main gmae khel ke video banata hoon or youtube par dalta hoon aap paymeng kar dena ushe ush time 1200$ dikhte hain ishliye banda ush sponshership wali complany ko google pe search karke bhi nahi dekhta bus game ya app download kara or khelne lage itni der mein aapka browser hijack ho jata hai or usme jitni bhi cookies hoti hain wo chale jati hain hacker ke pass or wo apne computer ya leptop mein import kar deta hai or youtube par  jaake bina password diye bina 2-step verification ka otp diye ownership ko apni gmail pe move karta hai or uski gmail se message delete kar deta hai phir ek din baad open karta hai or phir apni gmail pe owner ka invitation bhejta hai or apni gmai se jaake verify pe click kar deta or uski gmail me jaake message delete kar deta hai isme youtube creator ko pata bhi nahi chalta or uska channel move ho jata hai 

2020 me Youtube Channel Ko Hack hone se kaise bachaye puri jankaari ( how to secure youtube channel in 2020 full guide )



1. Strong Password >>

Sabse main roll play hota hai password ka iski security aapke hath me hai Aap Gmail mein strong password use karein 8 characters se jayeda lamba password rakhe Aap strong password rakhne ke liye capital,small,numbric,@#$/^& aaise character use karein toh aaisa password koi guess nahi kar paye ga

Password Example >>
 example@example$example# example&example*12345+=||

2. Fake Sponshership se bachein >>  

Agar Aapki Gmail Par koi sponshership ke liye mail aaye toh ushe aap phele jaane uske liye jo wo company ka naam bataye ushe phele google pe search karein jo company woh bataye ush naam se agar website hai toh ush website ko open kare ush website ka about us,privacy policy, in pages ko dekhe agar aapko sahi lage site toh Aap youtube par ush company ke baare me dekhe website ke baare me dekhe agar video sahi ho toh aap website pe contact us page me jaa kar unse contact karein ki main ek youtuber hoon channel name likhe or bataye ki aapne mere pass mail kiya tha sponshership ka or aapko jitne paise bataye ho ye bhi likhe itne paise ke liye kaha tha aapne ye sab likhne k baad mail kar de or kuch time baad unka mail aata hai ki haan humne kiya tha toh aap ush sponshership ko le warna agar woh mana kar de ki humne aaisa koi mail nahi bheja tha toh aap ushe mana kar de or phir reply nahi karein

3. Same Password Another Sites >>

Agar Aapne ek password chun liya hai or usko har jagah use karte hain har sites pe ek hi password toh aap aaisa na karein kyuki agar aap kisi fake site pe sign up karte ho or aap password wahi wala dalte ho jo aap ( gmail,fb,insta,twitter,paytm,paypal, etc ) ye jo bhi sites hai unka password sabhi ka ek hai or aap ye hi password kisi fake site pe sign up karne par daal dete ho toh aap soch sakte ho ki ye kitna harmfull hoga

4. 2-Step Verification >>

Ye Boht Hi Importent hota hai gmail account ko secure karne mein Agar Aap Password strong rakhte hain tab bhi ye option jaroori hai aap 2-step verificaton lagaye isse ye hoga aap login karenge toh gmail address,password,otp ye dalna hoga tabhi login hogi bina otp ke aage nahi badhega isme agar aapka password galti se leak ho jata hai tab bhi woh login nahi kar payega usse otp manga jayega toh ye option bhi boht jaroori hai

5. Harmfull App >>

 Agar Aap google se koi App nikalte hain ya koi game nikalte hai toh woh Permission Manga ta hai or Aap ( Allow ) karte rehte hain or Aap ye nahi dekhte ye App koun koun si permission le raha hai or ish me ( take picture,record audio, camera etc ) In Permission lene ka koi matlab hi nahi banta  aaisa na karein usme malware virus hota hai or woh virus Apka Mobile Hack Kar leta hai or Aapka Data Chori Karke Bech deta hai  Aap soch sakte ho agar Aapke phone mein Boht jayeda importent documents ya photos audio or inhi mein aapne apne password ki ek txt file bana li ho yaad rakhne ke liye or woh chorri ho jaye toh socho kitna nuksaan ho sakta hai isliye aap play store use karein iske Alava agar koi game ya App nikalna hai jo playstore par nahi hai toh Aap ushe google se sahi websites se nikale jo popular ho ache se kaam kar rahi ho koi app modify karke nahi dalti ho usse Aap download kar sakte hain

6. zip php pdf files >>

kayi baar aaisa hota hai hum kisi site pe hote hain ek dum se koi zip ya php ya pdf download hoti hai or jayeda mb ki nahi hoti isliye teji se woh download ho jati hai or aap ushe delete bhi nahi karte soch te hain ye kb ki file hai isse humari storage kaha bharegi or aap ush pdf ko open karke dekhte ho toh usme ya toh blank hoga kuch dikhega nahi white page open ho jayega ya koi cheez bhi ho sakti hai ya php file hui toh aap ushe open karenge toh browser me open hogi or ushe apni permission mil jayegi or session start hi jayega zip file mein aaisa hi hai isliye inka khaas dhyaan rakhe agar google surf karte time koi file download ho gayi hai toh ushe open na karein turrant delete kar de ye choti choti cheeze hai jo boht kaam bigaad deti hai

7. Recovery Email And Phone no. add >> 

kayi log Gmail pe jayeda tar recovery email or phone no. add nahi karte iski bajah se account hack ho jata hai aap jo gmail use karte ho uspe jo no. add hota hai or aap ushi no. se ek gmail or create kar lete ho toh kuch time baad woh removed ho jata hai or aapko pata nahi chalta ab ush email mein  number,recovery email,recovery number ye sab hote hi nahi hai or hacker jaake apni email se request bhej deta hai gmail ko access karne ki ab uspe toh koi cheez add nahi hoti jiske kaaran google usko access karne ki permission de deta hai or usko reset password ki link uski gmail pe bhej deta hai google ki policy padh lein aapko samjh mein aa jayega ki aaisa kaise hota hai

8. Gmail Address Share >> 

Jayeda Tar Log Apna Gmail Address Share kar dete hain har kisi ko or har jagah daal bhi dete hain 2020 me hackers youtube channel hack tabhi kar pa rahe hain unko gmail address mil jata hai ya toh sponshership wala mail mil jata hai toh iske jariye woh sponshership ka mail bhej dete hai or aap unke jaal me fas jate hain Aap Humesa dhyaan rakhein jisse youtube channel hai ya aapki personal gmail hai jispe chat me importent cheeze ho ya drive pe upload data ho toh woh leak ho sakta hai isliye aap apni personal gmail kisi ke sath share na kare or youtube channel wali gmail aap about wale section mein na dalein sabse phele hacker subscriber dekhta hai or monetize dekhta hai ye dekhne ke baad direct about mein jaata hai gmail address dekhne agar gmail mil jaati hai toh woh mail kar deta hai nahi milti toh woh videos open karta hai or description check karta hai gmail address ushe in do jagah mil jata hai agar main wali gmail nahi milti toh sponshership wali mail mil jati hai jispe woh mail kar deta hai or woh app download karwa deta hai or aap apne ushi letptop ya mobile mein install kar lete ho jisme aapka youtube channel open hota hai phir uski cookies chura leta hai 24 ghante  baad channel move ho jata hai toh agar aapko sponshership ka mail aaye toh aap apne ush system pe install na karein jisme aapka youtube channel open hai

9. Youtube ya gmail kabhi apki personal cheeze nahi puchti >>

Agar Aapko Mail aata hai Hum youtube ya google se hain or woh mail address bhi google ya youtube jaisa hota hai par ye dhyaan rakhe youtube or google apni mail mein @gmail.com nahi lagati or personal cheeze nahi puchti jaise aapka password kya hai hum kuch changes kar rahe hain Aap Apna Password bataiye aaisi baate youtube ya google nahi karti kyuki unke paas toh aapka pura data hai hi agar aapki id login karna hogi toh woh kar lega waise aaisa hota nahi hai ek example diya hai samjhane ke liye toh aaise mail aaye unko reply na karein warna hum indian hai hi apni bhasa mein bolne ke liye samjh gye kounsi bhasa keh raha hoon

10. Logout Other Device >>

Aap ye jaroor check karte rahe ki aapka gmail account kaha kaha login hai or woh device humara hai ya or kisi ka agar unknown device hai toh aap logout kar de ye cheez humesa check karte hain

11. Change password >>

Aap Ek password bana ke na rakhe ushe time to time change karte rahe agar aapka password kisi ko pata chal jata hai toh aap time to time change karenge toh phele wala password kaam nahi karega toh ye scene hai isko jaroor apnaye thik hai


Toh Dosto Aapko Samjh Aa gya hoga 2020 me Youtube Channel Ko Hack hone se kaise bachaye toh ye jo tips bataye hain unko agar aap follow karte hain toh aap fully sucure reh sakte hain ( how to secure youtube channel in 2020 full guide in hindi ) ye article agar aapko acha lage toh aap apne dosto ke sath share jaroor karein

Post a Comment

0 Comments